Sunday 29 September 2019

मैं अपने तैलिय बाल की देखभाल कैसे करूं/how to take care of oily scalp

Baal bhi humare Sharir Ka sabse important hissa hota hai. Saath he yeh humare personality ur beauty Ka bhi bahut important 
part isliye inki Achi Dekh bhaal Karna bahut jaruri hai.

Jaise humari oily skin Hoti Hai, waise he humare oily hairs bhi hote hai, jinki kafi problems Hoti Hai. Jaise jaldi jaldi baalo Ka oily hojana, itchy scalp, dandruff hojana, hair fall Hona. Yeh sab 
excess quantity mein sebum ban ne ki wajeh hota hai. Oily scalp ki wajeh hereditary, Harmonal changes due to pregnancy,
 mensuration, Menopause, Pcod, excess use of oil,Cleaning process is notcorrect, using the wrong shampoo,heating device Ka Jada istemal Karna.Ab yeh toh Hoi problems, inka solution kya hai?

Oily scalp Ka problem hum 2 tarike se theek Kar sakte hai. Phela applications se Yani chigo ki use Kar ke. Dusra healthy food ko intake Kar ke. Ur dono he tarike important hai ache hair growth maintenance ke liye.Phele hum intake ki baat Kar le, is mein app Amla Ka intake Kar sakteh hai yeh apkeh hairs pe toh bahut Acha kaam karta he hai Saath he Saath yeh apke skin ko bhi glowing banata haiAmla ek citrus food hai Jo apke body mein jamme excess fat Yani chiknai ko clean Karne mein help karta Jo oliy scalp ko control Karne mein help karta hai, hoske toh ek Amla app roj khaye. Mujhe pata hai Amla bahut khataa hota hai, usko app boil kar ke ur us pe salt daal ke kha sakte hai ya phir uski chatni Bana ke ur bahut halka Nanak daal ke khaaye. Alsi ke beej/flaxseed Ka niyamit Sevan ek din mein kam se kam do chammach jarur khayen. Baalo ki jado ko majbut Karne ke protein se yukht chige Khana bhi Acha hai Jaise 
milk/dhoodh yeh apke PH ko bhi balance karta hai. Soya bean, chia seeds,Fresh vegetables and fruits humko daily basis 
pe Khana chaiye.last and not the least water intake apko hamesha Sahi dekhni hai at least 2 liter per day.

Ab application ki baat karte hai. Waise toh bahut Sare nuskhe available hai ur us mein se Kai apko pata bhi hoga. Par main natural ur thoda artificial ke bare mein bataugi:

Shampooing- hamesha shampoo Apne hair type ke mgaccording kharide. Oily wale mainly oil balance shampoos kharide jis se shampoo apke scalp se excess oil na remove Kar de. Jiske wajeh se body phir excess oil produce kare ur problem 
wahi ke wahi. You can wash your hairs on alternative days not everyday. Always dilute your shampoo and use conditioner 
in adequate quantity not in excess quantity. 

Oiling- app soachege ek toh oliy hairs upar se ur oil lagana. Hair mein oiling Karna bahut jaruri hota hai, par kaun 
sa oil lagaye ur kitne daer tak us se pharak padhta hai. Oily hairs ke liye coconut oil best hota hai kyuki yeh bahut light Nd norishing hota hai. Isko sirf app 2 hours ke liye rekhe ur phir wash Kar de. App chahe toh iske saath lavender essential oil Ka
 bhi use Kar sakte hai.

Multani mitti/fuller earth- multani mitti mein Pani add Karen aur is mixture ko Apne balon per kam se kam 2 ghante keliye lagakar chhod de iske bad aap normal Pani se apne bal dho lijiye vaise to iske bad aapko shampoo ki jarurat Nahin padegi, Na he conditioner ki jarurat padegi yah aapke balon ko bahut soft and shiny banaa deti hai aur jo bhi excess oil hota hai usko saaf kar deti hai without drying your scalp.


Amla and reetha- Amla ko Intake ke sath sath aap application mein bhi use kar sakte hain. Amla ke Saath reetha ko Lena Hai. Ya toh app dono ko leke sukha le ur phir powder banane ya FIR market se a banaa banaya powder kharid le, ab dono ko mix Karke paste bana lijiye ab isko Apne balon per aur uski roots per lagaiye, 2 ghante rakhne ke bad usko aap koi mild shampoo se dho lijiye ,vaise toh reetha hone ki vajah se shampoo 
ki jarurat Nahin padegi, lekin fir bhi agar use granules aapke balon mein fanse hue hain to aap usko shampoo use kar sakte hain isase aapke balon mein again excess oil wash ho jaega 
aur balon ko shine aur Nourishment milegi.

Apple cider vinegar- yah sabse easy  aur kafi effective remedy hai. Iska use aapko after shampoo karna hai shampoo se kar le and mein 250 ml water mein 2 tea spoon/ 2 chamach apple cider vinegar Dal de aur end mein us Pani se Apne baalo ko dooh le. Is se yeh Hoga ki apke scalp pe koi infection 
Hoga toh wo bhi clear hojayega ur scalp balance hojayega.


App health, beauty ur lifestyle se Jude
 questions direct mere se Puch sakte hai.
 Mere ko Instagram pe follow Kar ke.

Answer given by:


Sonam
Beauty, health and lifestyle's blogger
Makeup artist
Lakme academy





No comments:

Post a Comment

Search Any topic , section , query