Saturday, 21 September 2019

मैं अपनी स्किन के अनुसार फाउंडेशन कैसे चुनु/how can I choose Foundation according to skin and color





Foundation kaise chune Apne rangat
 aur tvacha ke anusar.


Aajkal makeup karna kis ko Pasand 
Nahin Hai. ham sab achha makeup karna 
chahte hain lekin achcha makeup karne
 ki kafi techniques Hoti Hai jinka hum ko
 pata Hona chahie Jaise humara aaj ka topic
 hai ki hum Foundation kaise chune Jo humare
 chehre ke rang ke anusar ho aur plus humari
 skin ke sath bhi Mel khata hun.


 Foundation ka matlab hota hai neev agar hamari
 neev acchi hai to uske upar Kiya hua koi bhi kam
 yah rang bahut acche se khil kar aata hai isiliye
 kahate Hain, Humara Foundation yah
 base Sahi Hona bahut jaruri hai to aaiye samjhe
  ki hum Sahi tarike se Foundation kaise chune.


Sahi Foundation chunne Ka tarika aapko
 Apne skin ke rang kya Uske undertone ke rang se
 pata chalta hai.humko hamesha Foundation Apne 
rangat ke hisab se kharidna chahiye Na to humen 
Apne rang se dull rang ka Foundation Lena chahie
 na hi humen Apne rang se gore rang ka Foundation
 Lena chahie humen Apne tvacha ke bilkul same 
rang ke jaisa hi Foundation Lena chahiye.


Foundation select karne ka sabse Sahi
 tarika Hota Hai,Jo Foundation Ka rang aapko 
apni tvacha se ekadam match karta Hoya lagr,
 usko aap apne neck pe ya gaal ke side mein 
laga kar check Karen kabhi bhi Foundation ko 
hath ke upar laga kar check nahin karna chahie 
kyunki hamare hath ka colour aur hamare chehre
 Ka colour ek sa Nahin Hota isliye Kai bar yah hota
 hai ki hum Foundation hath per check Karke lekar
 aate Hain aur jab vahi rang Apne chehre per lagate 
Hain to hamara chehra alag hi lagta hai.


Foundation chunne ka dusra tarika yah hai ki 
humko Foundation Apne skin type ke according
 kharidna chahie Jaise agar humari skin oily Hai
 to hum ko liquid Foundation kharidna chahiye
 agar hamari skin dry Hai to hamen cream base
 Foundation Lena chahie halaki har Foundation
 ki coverage  alag alag Hota Hai.


Yeh 2 tarike apko apna Sahi Foundation 
choose Karne bahut help karegi ur iska 
result 90%-100% tak milega.

App health, beauty ur lifestyle se Jude questions
 direct mere se Puch sakte hai.
 Mere ko Instagram pe follow Kar ke .

Answer given by:


Sonam
Beauty, health and
 lifestyle's blogger
Makeup artist
Lakme academy

No comments:

Post a Comment

Search Any topic , section , query