Tuesday 8 October 2019

Main ankho ke niche kaale gherre ur lines kaise Sahi karu/ how to cure dark circles and fine lines?



                                

Aaj kal aankhon ke niche kale ghere aur fine lines Hona aam baat ho gai hai, jo har Kisi ko Pareshan karti hai aur har Kisi ki khubsurti mein Ek daag lagati Hai. iss se kaise chutkara paye aur ise kaise bacche aiyye jante hai.

Dark circle ur fine line hone ke Karan:

Stress ur tension- ab stress or tension hone ke do Karan ho sakte hain .                   
  Ek to Jaise aapko koi mental pressure ya stress hai  Kisi chij ki wajeh se. Ur dusra
Excess TV or aj kal hum mobile bahut dekhte hai andhre mein without lights ur pure din. Toh iski wajeh se ankho ke ass ki Nevers pe stress padhta hai ur wo dark joti hai plus wrinkles ya line padh jati hai.

    2. Sun exposure- agar aap dhup mein bahut nikalte Hain ya Kam karte hain to bhi aap ko dark circles aur fine line hone ke chances bahut jyada badh jaate Hain.

3. Lack of sleep- neend Puri na hona ya kum sone se bhi humari ankho ke ass pass Ka area dark blue ya voilet padh jata hai Jo dark circles keh late hai ur lines padh jati hai.

4. Smoking and alcohol consumption also leads to due to changes in body mechanics.

5. Dehydration ya Pani Kami hone se bhi humare ankho ke niche ghere ur jhuriya  ban jate hai.

6. Body mein khoon ki ya jaruri vitamins ur mineral ki Kami se bhi dark circles ur fine lines padh jate hai.

7. Female mein dark circle ur fine lines hone ki wajeh  hormonal changes, pregnancy, menopause, menstrual cycle bhi hosakti hai.

8. Hereditary/ Unuvanshik- kab dark circles hone Ka reason humari problem hereditary bhi Hoti hai. Jaise humare paternal ya maternal mein dark circles ki problem hona.

9. Umar Ka badna/ ageing- Umar badhne ki wajeh se bhi humare ankho ki niche kalle ghere ur jhuriya padh jati hai. Kyuki humare ankho ke niche skin sabse patli Hoti Hai toh is pe asar bahut jaldi ata hai.

Yeh sab toh Karan hai, inko theek kaise Kiya Jaye. 2 
Tarike hai phela application ur dusra internal cure dono he important hai.

Application/ upchar lagna.

Badam Ka tail- pure badam tail app apni aankhon ke niche laga sakte hain isko laga kar aapko apni aankhon ki halke hath se gol gol tarike se malish karni hai isko aap raat ko sote samay aur subah face saaf karne ke bad bhi laga sakte hain.

Nimbu ki Do teen bunde, shehad aur vitamin e capsule ine teenon ko milakar ek mishran banaa lijiye Ek Tera jel jaisa dikhega is ko aankhon ke niche lagaiye ise lagane se aapki aankhon mein vitamin c moisturizer aur vitamin e ki Kami Puri hogi jisse kale ghere kam honge

Under eye cream- market mein bahut Achi quality ki under eye creams milti hai, unko kharid ke laga sakte hai agar app gharelu nuskhe nai Kar sakte. Under eye cream mein ek vitamin e Ka casual mil sakte toh ur bhi Jada effective hojati hai.

Coffee powder with honey/shehad- apko ek spoon coffee powder lijiye us mein honey utna milaye ki wo thick to thin consistency paste banaye aur usko under eye pe lagaye ur 20 min rekha And wash it normal water apply any under eye cream or gel.

Green tea bag- jab bhi app green tea piile toh us tea bag ko pheke nai usko freeze mein Rekh de jab wo thanda hojaye usko apni saaf ankho pe 15 min ke liye Rekh le phir usko normal Pani se dooh ke koi bhi under eye cream ya gel laga 
le.

Under eye treatment- app ache saloons ya dermatologist ke pass Jake treatments le sakte hai Jaise peelings, Botox, advance level facial.

Yeh nuskha Kai logo ko Sahi nai lagega par iska result 100% ya isko app Ram baan ilaaz bhi keh sakte hun, ur ek rupees nai lagega. Subeh uth ke apke mouh mein Jo laar Banti hai wo Kisi antibiotics ya mehngi cream se Kai jada Achi Hoti Hai usko app, apni ankho ke niche laga ke halke haatho se malish kare is se 2-3 mahine mein dark circles gayab hojaye. Bus jinki wajeh se yeh hote in pe control Karna hai. 

Internal cure/ andurani upchar

Vitamins ur mineral intake badhaye jis se apke body blood vitamins ur minerals ki Kami Puri hojaye. Iske liye app fresh vegetables and fruits khaye jaise- amla, lemons, oranges, carrots, spinach, dry fruits, flex seeds, chia seed etc. 
Waise toh Sare vitamins ur mineral par vitamin E, A, C and K Jada important hai.

Water- Drink atleast 2-3 liter per day or 10 glass of water a day to stay hydrated and glow. You can also substitute with other fluids Jaise milk ya jucies.


App health, beauty ur lifestyle se Jude
 questions direct mere se Puch sakte hai.
 Mere ko Instagram pe message Kar ke.


Answer given by:



Sonam
Beauty, health and lifestyle's blogger
Makeup artist
Lakme academy









Thursday 3 October 2019

Main apni diabetes kaise theek karu?/how can I cure my diabetes?


Agar main ISS sawal Ka jawab du, ki  diabetes theek 
Nai hosakti kyuki yeh sach hai, Jo apko yeh Bolte hai is dawai ya chig se daibeties theek hojayegi wo jhut Bolte Hai. Par isko Kum Kiya ja Sakta ur iske Saath bhi app ache apni health ur lifestyle maintain Kar sakte. 

Aaiye phele samjhte hai daibeties kaise Hoti hai ur kyu hojati hai- diabetes ek proper lifestyle disease hai. Yeh unki ko Hoti Hai jinki food habits ur rehen sehen Ka tarika bilkul Sahi nai hota. ISI wajeh se humko yeh bimari lag jati hai. Waise toh humare Sharir mein koi bhi bimari kaaf, Vaat ur piith ke balance ke kharab hone se hota hai. Par diabetes hone Ka main reason apka kaaf badh Jane se hota hai. Agar hum ache se physical activities nai karte hai toh Khana digest hoke glucose banta ur use nai hota hai co baad mein diabetes ban jata hai.

 Diabetes ko control kaise kare-

Oils- Sabse pehle hum refined oil Ka use bilkul band Kar dege. Iski jageh app mustard oil, til Ka tail ya olive oil Ka bhi use Kar sakte hai. Waise toh aaj kal olive oil mein refine oils Anne lage hai. Mustard oil apke liye economical ur better option hai. Indian Cow desi ghee is best option if one can afford and able to get.

Sugar- After oil sugar ek bahut bada factor hai diabetes ka kyuki Jo sugar/chini hum khate hai wo chemically processed Hoti Hai wo bhi ek Tarah se refine he Hoti, toh us se bhi sehat ko bahut nuksaan hota hai.  Iski jageh app Guur/jagerry is best thing to consume for sweet tooth or to put in your sweet dishes for sweetness. Is se sirf apke meethe ki jarurat he Puri nai Hoti ur bhi bahut Sare nutrients ur minerals milte hai.

Amla Humare desh mein isko Amar fhaal bhi Bola jata hai ur yeh humare desh mein bahutayat mein hota .Isko khane wale Apne ko karib 33 bimario se bachate hai. Ab app yeh jaaniye isko lena kaise iska juice apko khali paith peena hai. 10-20 ml apko 250ml Pani mein daal ke peena hai. Ek week mein apko pharak najar ayega.

Meethi dana- meethi dana is again a natural medicine for diabetes ur yeh Ghar pe bhi easily available Hoti hai. yeh sirf diabetes pe he kaam nahi Karti yeh thyroid, weight management heart disease mein bhi bahut help Karti hai. Isko apko Raat ko bheego ke Rekh dena hai ur subeh khali paith/ empty stomach lena hai. Ur iske ek ghate baad app Kuch bhi kha sakte hai.

Neem and karela- neem ur karela ke bare toh shayad Pura world he janta honge yeh kitne kadwe/bitter hote hai. Yeh sabse fast Aram dete hai agar apki sugar kafi shot up hoti hai. Neem and karela dono natural antibiotics hote hai, so they also prevent you from various other infections mainly for skin. App ink 60-100 ml tak le sakte hai. Us mein 50ml Pani Mila ke.

Jamun/black plum- jamun Ka fruit is best for diabete's patients. App isko kha sakte as a normal fruit ya phir isko khane ke baad Jo iska seed hota hai usko sukha ke uska powder Bana le. Roj subeh ek chamach khali paith 1 glass of water ke saath Lena Hai.


Sadha bahar ka podha- ISS plant ki photo upar Dee hai. Iski 2 -3 patteio ko leke suebh khali paith Pani ke Saath khate hai. bahut kadvi Hoti Hai ur apke sugar levels ko control Kar leti hai.


App health, beauty ur lifestyle se Jude
 questions direct mere se Puch sakte hai.
 Mere ko Instagram pe message Kar ke.


Answer given by:



Sonam
Beauty, health and lifestyle's blogger
Makeup artist
Lakme academy






Wednesday 2 October 2019

Life ko exciting bnane ke 10 simple ttareeke . How to make lyfe happy ?

Life ko exciting bnane ke 10 simple  ttareeke


How to make lyfe happy ?



1.Har teen maheene mein kuch naya krane
ki koshish karen. Yeh bahut choti  cheejen ho
sakati hain. example ke liye, yadi aap khaana nahin
banaate hain to apane liye ek cup coffeee  ya tea
bana kar shuroo karen.


2. Din mein kuchh ghanton ke liye ya poore
din ke liye digital detox Kare. ( Digital detox means- 
ek time period jisme log stress kam karane ke liye
computer, smartphone or Anya digital devices ka
upayog nhi krte hai) .or us time ka use kuch  or
new activities me Kare.

3. kuch new challenges le, jaise 50 dino  mein
50 naye gaane sune  ya 50 dino mein koi ek new
book read kare. aap kuch bhi naya  kr skte hai
.ye aap PR depend krta h .

4.kisi ki ek  pure week ke liye help karen, vo 
aapka drivar, helper ,dada  dadi ya aapke padosi
bhi ho sakate hai.


5.apne routine ko change karen jaise agar
aapane kabhi lambe time  se sunrise nahin dekha hai
to subah jaldi uthen aur time par soye ya aap  kuch bhi
alag kr skte hai Jo aapne abhi tk nhi Kiya ho.

6.kuchh badalaav karavaen.  Jaise  new haircut
karaye ,ya new dresses  khareede ya koi bhi new style
try kr skte hai .kuch new try krte rhne see aapki life me
excitement bna rhega .


7. Naye dost bnaye or  unhe janane ke liye
pahal karen .Ya koi trip plan Kare, yadi aap abhi trip
  ke liye afford nhi kr skte hain, to aap uske baare me
research Kare , pln bnaye aur sapane dekhe .aise  cheeje
bhi apako ek badhaava de sakati hai aur us time ke lie
excitement paida kar sakati hai jab aap jaane ke liye afford
kr  skate hain. Or kuch limited paiso me Pura din spend
krne jaise naye challenge bhi le skte hai.


8. Apne room ya office ke furniture ko dobara se
arrange Kare ya apne room ko phir se sajaye . Cheejo ko
switch krne see bhi aap new or alag feel kr skte hai.


9.apne routine me fitness ko bhi include kare. Jaise
jogging , gyming , walking or yoga .


10.  Hmesha kuch naya seekhe. Jaise koi  nayi language
, nayi skills , ya koi nayi hobby ke baare me pade .isse aapko
naye logo se Milne ka mauka milega or apne abilities or interest
of share krke aap apne confident or yogytao ko bda skte ho.


Aapko apne khud ke najariye  ko bdal kr or apne daily routine
mein kuch badalaav karake apni life me in chote chote  tareekon
ka use krne ki jaroorat hai.

chote aur fresh changes aapki life par ek new aur exciting  bana
sakate hain.

Search Any topic , section , query