Thursday, 3 October 2019

Main apni diabetes kaise theek karu?/how can I cure my diabetes?


Agar main ISS sawal Ka jawab du, ki  diabetes theek 
Nai hosakti kyuki yeh sach hai, Jo apko yeh Bolte hai is dawai ya chig se daibeties theek hojayegi wo jhut Bolte Hai. Par isko Kum Kiya ja Sakta ur iske Saath bhi app ache apni health ur lifestyle maintain Kar sakte. 

Aaiye phele samjhte hai daibeties kaise Hoti hai ur kyu hojati hai- diabetes ek proper lifestyle disease hai. Yeh unki ko Hoti Hai jinki food habits ur rehen sehen Ka tarika bilkul Sahi nai hota. ISI wajeh se humko yeh bimari lag jati hai. Waise toh humare Sharir mein koi bhi bimari kaaf, Vaat ur piith ke balance ke kharab hone se hota hai. Par diabetes hone Ka main reason apka kaaf badh Jane se hota hai. Agar hum ache se physical activities nai karte hai toh Khana digest hoke glucose banta ur use nai hota hai co baad mein diabetes ban jata hai.

 Diabetes ko control kaise kare-

Oils- Sabse pehle hum refined oil Ka use bilkul band Kar dege. Iski jageh app mustard oil, til Ka tail ya olive oil Ka bhi use Kar sakte hai. Waise toh aaj kal olive oil mein refine oils Anne lage hai. Mustard oil apke liye economical ur better option hai. Indian Cow desi ghee is best option if one can afford and able to get.

Sugar- After oil sugar ek bahut bada factor hai diabetes ka kyuki Jo sugar/chini hum khate hai wo chemically processed Hoti Hai wo bhi ek Tarah se refine he Hoti, toh us se bhi sehat ko bahut nuksaan hota hai.  Iski jageh app Guur/jagerry is best thing to consume for sweet tooth or to put in your sweet dishes for sweetness. Is se sirf apke meethe ki jarurat he Puri nai Hoti ur bhi bahut Sare nutrients ur minerals milte hai.

Amla Humare desh mein isko Amar fhaal bhi Bola jata hai ur yeh humare desh mein bahutayat mein hota .Isko khane wale Apne ko karib 33 bimario se bachate hai. Ab app yeh jaaniye isko lena kaise iska juice apko khali paith peena hai. 10-20 ml apko 250ml Pani mein daal ke peena hai. Ek week mein apko pharak najar ayega.

Meethi dana- meethi dana is again a natural medicine for diabetes ur yeh Ghar pe bhi easily available Hoti hai. yeh sirf diabetes pe he kaam nahi Karti yeh thyroid, weight management heart disease mein bhi bahut help Karti hai. Isko apko Raat ko bheego ke Rekh dena hai ur subeh khali paith/ empty stomach lena hai. Ur iske ek ghate baad app Kuch bhi kha sakte hai.

Neem and karela- neem ur karela ke bare toh shayad Pura world he janta honge yeh kitne kadwe/bitter hote hai. Yeh sabse fast Aram dete hai agar apki sugar kafi shot up hoti hai. Neem and karela dono natural antibiotics hote hai, so they also prevent you from various other infections mainly for skin. App ink 60-100 ml tak le sakte hai. Us mein 50ml Pani Mila ke.

Jamun/black plum- jamun Ka fruit is best for diabete's patients. App isko kha sakte as a normal fruit ya phir isko khane ke baad Jo iska seed hota hai usko sukha ke uska powder Bana le. Roj subeh ek chamach khali paith 1 glass of water ke saath Lena Hai.


Sadha bahar ka podha- ISS plant ki photo upar Dee hai. Iski 2 -3 patteio ko leke suebh khali paith Pani ke Saath khate hai. bahut kadvi Hoti Hai ur apke sugar levels ko control Kar leti hai.


App health, beauty ur lifestyle se Jude
 questions direct mere se Puch sakte hai.
 Mere ko Instagram pe message Kar ke.


Answer given by:



Sonam
Beauty, health and lifestyle's blogger
Makeup artist
Lakme academy






Wednesday, 2 October 2019

Life ko exciting bnane ke 10 simple ttareeke . How to make lyfe happy ?

Life ko exciting bnane ke 10 simple  ttareeke


How to make lyfe happy ?



1.Har teen maheene mein kuch naya krane
ki koshish karen. Yeh bahut choti  cheejen ho
sakati hain. example ke liye, yadi aap khaana nahin
banaate hain to apane liye ek cup coffeee  ya tea
bana kar shuroo karen.


2. Din mein kuchh ghanton ke liye ya poore
din ke liye digital detox Kare. ( Digital detox means- 
ek time period jisme log stress kam karane ke liye
computer, smartphone or Anya digital devices ka
upayog nhi krte hai) .or us time ka use kuch  or
new activities me Kare.

3. kuch new challenges le, jaise 50 dino  mein
50 naye gaane sune  ya 50 dino mein koi ek new
book read kare. aap kuch bhi naya  kr skte hai
.ye aap PR depend krta h .

4.kisi ki ek  pure week ke liye help karen, vo 
aapka drivar, helper ,dada  dadi ya aapke padosi
bhi ho sakate hai.


5.apne routine ko change karen jaise agar
aapane kabhi lambe time  se sunrise nahin dekha hai
to subah jaldi uthen aur time par soye ya aap  kuch bhi
alag kr skte hai Jo aapne abhi tk nhi Kiya ho.

6.kuchh badalaav karavaen.  Jaise  new haircut
karaye ,ya new dresses  khareede ya koi bhi new style
try kr skte hai .kuch new try krte rhne see aapki life me
excitement bna rhega .


7. Naye dost bnaye or  unhe janane ke liye
pahal karen .Ya koi trip plan Kare, yadi aap abhi trip
  ke liye afford nhi kr skte hain, to aap uske baare me
research Kare , pln bnaye aur sapane dekhe .aise  cheeje
bhi apako ek badhaava de sakati hai aur us time ke lie
excitement paida kar sakati hai jab aap jaane ke liye afford
kr  skate hain. Or kuch limited paiso me Pura din spend
krne jaise naye challenge bhi le skte hai.


8. Apne room ya office ke furniture ko dobara se
arrange Kare ya apne room ko phir se sajaye . Cheejo ko
switch krne see bhi aap new or alag feel kr skte hai.


9.apne routine me fitness ko bhi include kare. Jaise
jogging , gyming , walking or yoga .


10.  Hmesha kuch naya seekhe. Jaise koi  nayi language
, nayi skills , ya koi nayi hobby ke baare me pade .isse aapko
naye logo se Milne ka mauka milega or apne abilities or interest
of share krke aap apne confident or yogytao ko bda skte ho.


Aapko apne khud ke najariye  ko bdal kr or apne daily routine
mein kuch badalaav karake apni life me in chote chote  tareekon
ka use krne ki jaroorat hai.

chote aur fresh changes aapki life par ek new aur exciting  bana
sakate hain.

Sunday, 29 September 2019

मैं अपने तैलिय बाल की देखभाल कैसे करूं/how to take care of oily scalp

Baal bhi humare Sharir Ka sabse important hissa hota hai. Saath he yeh humare personality ur beauty Ka bhi bahut important 
part isliye inki Achi Dekh bhaal Karna bahut jaruri hai.

Jaise humari oily skin Hoti Hai, waise he humare oily hairs bhi hote hai, jinki kafi problems Hoti Hai. Jaise jaldi jaldi baalo Ka oily hojana, itchy scalp, dandruff hojana, hair fall Hona. Yeh sab 
excess quantity mein sebum ban ne ki wajeh hota hai. Oily scalp ki wajeh hereditary, Harmonal changes due to pregnancy,
 mensuration, Menopause, Pcod, excess use of oil,Cleaning process is notcorrect, using the wrong shampoo,heating device Ka Jada istemal Karna.Ab yeh toh Hoi problems, inka solution kya hai?

Oily scalp Ka problem hum 2 tarike se theek Kar sakte hai. Phela applications se Yani chigo ki use Kar ke. Dusra healthy food ko intake Kar ke. Ur dono he tarike important hai ache hair growth maintenance ke liye.Phele hum intake ki baat Kar le, is mein app Amla Ka intake Kar sakteh hai yeh apkeh hairs pe toh bahut Acha kaam karta he hai Saath he Saath yeh apke skin ko bhi glowing banata haiAmla ek citrus food hai Jo apke body mein jamme excess fat Yani chiknai ko clean Karne mein help karta Jo oliy scalp ko control Karne mein help karta hai, hoske toh ek Amla app roj khaye. Mujhe pata hai Amla bahut khataa hota hai, usko app boil kar ke ur us pe salt daal ke kha sakte hai ya phir uski chatni Bana ke ur bahut halka Nanak daal ke khaaye. Alsi ke beej/flaxseed Ka niyamit Sevan ek din mein kam se kam do chammach jarur khayen. Baalo ki jado ko majbut Karne ke protein se yukht chige Khana bhi Acha hai Jaise 
milk/dhoodh yeh apke PH ko bhi balance karta hai. Soya bean, chia seeds,Fresh vegetables and fruits humko daily basis 
pe Khana chaiye.last and not the least water intake apko hamesha Sahi dekhni hai at least 2 liter per day.

Ab application ki baat karte hai. Waise toh bahut Sare nuskhe available hai ur us mein se Kai apko pata bhi hoga. Par main natural ur thoda artificial ke bare mein bataugi:

Shampooing- hamesha shampoo Apne hair type ke mgaccording kharide. Oily wale mainly oil balance shampoos kharide jis se shampoo apke scalp se excess oil na remove Kar de. Jiske wajeh se body phir excess oil produce kare ur problem 
wahi ke wahi. You can wash your hairs on alternative days not everyday. Always dilute your shampoo and use conditioner 
in adequate quantity not in excess quantity. 

Oiling- app soachege ek toh oliy hairs upar se ur oil lagana. Hair mein oiling Karna bahut jaruri hota hai, par kaun 
sa oil lagaye ur kitne daer tak us se pharak padhta hai. Oily hairs ke liye coconut oil best hota hai kyuki yeh bahut light Nd norishing hota hai. Isko sirf app 2 hours ke liye rekhe ur phir wash Kar de. App chahe toh iske saath lavender essential oil Ka
 bhi use Kar sakte hai.

Multani mitti/fuller earth- multani mitti mein Pani add Karen aur is mixture ko Apne balon per kam se kam 2 ghante keliye lagakar chhod de iske bad aap normal Pani se apne bal dho lijiye vaise to iske bad aapko shampoo ki jarurat Nahin padegi, Na he conditioner ki jarurat padegi yah aapke balon ko bahut soft and shiny banaa deti hai aur jo bhi excess oil hota hai usko saaf kar deti hai without drying your scalp.


Amla and reetha- Amla ko Intake ke sath sath aap application mein bhi use kar sakte hain. Amla ke Saath reetha ko Lena Hai. Ya toh app dono ko leke sukha le ur phir powder banane ya FIR market se a banaa banaya powder kharid le, ab dono ko mix Karke paste bana lijiye ab isko Apne balon per aur uski roots per lagaiye, 2 ghante rakhne ke bad usko aap koi mild shampoo se dho lijiye ,vaise toh reetha hone ki vajah se shampoo 
ki jarurat Nahin padegi, lekin fir bhi agar use granules aapke balon mein fanse hue hain to aap usko shampoo use kar sakte hain isase aapke balon mein again excess oil wash ho jaega 
aur balon ko shine aur Nourishment milegi.

Apple cider vinegar- yah sabse easy  aur kafi effective remedy hai. Iska use aapko after shampoo karna hai shampoo se kar le and mein 250 ml water mein 2 tea spoon/ 2 chamach apple cider vinegar Dal de aur end mein us Pani se Apne baalo ko dooh le. Is se yeh Hoga ki apke scalp pe koi infection 
Hoga toh wo bhi clear hojayega ur scalp balance hojayega.


App health, beauty ur lifestyle se Jude
 questions direct mere se Puch sakte hai.
 Mere ko Instagram pe follow Kar ke.

Answer given by:


Sonam
Beauty, health and lifestyle's blogger
Makeup artist
Lakme academy





Thursday, 26 September 2019

ऑयली स्किन की देखभाल कैसे करें/how to take care of oily skin

Oily skin usse Judi problems 
or solutions.


Aiyye phele samjhe oily skin Hoti
 kya hai ur kyu hoti- Oily skin us skin 
ko kehte hai jiski oil secretion excess mein
 hota hai  agar Sahi term ya word Ka use 
kare toh isko sebum kaha jata hai Jo humari 
body banati hai. Jis skin mein yeh sebum/oil 
Jada banta hai wo oily skin boli jati hai.
 Kabi kabi humare harmonal changes ya after
 pregnancy ki wajeh se bhi skin badal jati hai 


Aaiye jaane oily skin ko maintain kaise
karen humko hamesha yeh Yaad rekhna 
Chahiye ki hum apne skin type badal nai sakte 
until unless apke body mein koi medical changes
 na hoon, Jo Maine apko upar bataya hai but
 hum apni skin ko maintain Kar ke Rekh sakte hai.
 Agar app apni skin maintain nai karte chahe koi 
bhi skin type hoon, Kuch samay baad us mein
 dullness, aging, dark spot, acne, pimples ur bhi
 Kai problems hosakte hai.


Agar oily skin ko maintain ya care nai Kiya
 Jaye toh skin mein pimple, acne, thick  and rough
 skin, shiny skin, blackheads, open pores Jaise 
problem ajati Hai. Oily skin ko maintain Karne Ka
 sabse Acha tarika hai, isko clean rekhna. 
Face Wash skin ke according he kharide Jo mostly
  clear substance base Hona Chahiye waise toh
 facewash pe mention hota hai wo kis type ke liye hai.
 After that tonner is very very important hai rose water
 in best tonner for every skin type, than last step is 
moisturizer ab app soach rahe hoge ki oily skin Nd 
moisturizer yahi  log misinform hai agar app oily skin 
pe moisturizer nai use karoge toh skin access mein 
oil/sebum produce Karti hai jis se apki skin ur bhi 
Jada oily Hoti Hai ur pore clog hojate hai.
Oily skin ke liye hamesha gel based ya water based 
moisturizer use kare, aloe Vera gel is best moisturizer
 for oily skin.


Else apko weekly skin exfoliate Karni Chahiye
 Apne skin ke according. multani mitti or fullers
 earth, lemon ,aloe Veera , honey, Chandan 
powder/sandalwood these are some superb
 ingredients to use on oily skin. For internal 
intake drink lots of water atleast 2-3 liters of 
water in a day plus add fresh fruits and vegetables
 in your diet. Oily skin people try to avoid oily food
 as your body already producing enough oil as per
 requirement. Daily 1hour exercise is must for 
everyone. 


Let Me share one DIY facial or cleaning 
steps  with you for oily skin to exfoliate
 weekly/once or twice not more than that.


Step 1 Cleaning - take a tomato ur uska pulp
 Nikal lijiye ya usko giss lijiye bus uski skin
 alag Kar page toh Acha hai. Ab is mein besan 
Mila lijiye chache toh Saath mein rice flour bhi
 Mila sakte hai. Ab mixture se app circular motion
 mein massage karte hoye atleast 5 min use kare 
phir isko clean Kar lijiye yeh as a cleanser kaam 
karta hai.


Step 2 expfoliate- thoda se oats ko grind Kar lijiye
  ya chokar add some honey some drop of lemon
 u can use essential oils like tea tree or lavender 
oil plus curd/dahi with little bit of rice flour.
 Due soft granul, its exfoliate your skin and
 clean it deeply removing excess oil and dead
 skin from face and give a beautiful glow to your
 skin. U can massage it atleast for 5-8 minutes. 
Yeh step ko start Karne se phele app tonner jarur
 use Kar lijiyega kyuki tonner ke baad ready hojati 
agge ke step ko deeply penetrate Karne ke liye.


Step 3 Nourishment/ massage- take only two
 ingredients aloe Vera gel and honey to 
make massage cream. Now again massage 
this mixture atleast for 10 min for deep 
penetration and maximum benefits. You can 
also take steam only for 3-5 min to open
 pores and to get maximum benefit from this 
massage cream.


Step 4 face pack/ to close pores- multani mitti
 lijiye phir Chandan powder ur gulab jal,
 ab inh teeno Mila ke ek paste Bana lijiye
 and isko apply kijiye Apne ankho ke niche
 ke hisse ko chord ke jisko hum under eye
 bhi kehte hai. Isko sukhne tak laga ke rekhna 
hai. Jab sukh Jaye Jo 10-15 min hojayega toh 
cold ya normal water se isko dhoo dijiye. 


Apka home facial ya cleaning process Pura
 hogaya hai. Ab end mein koi bhi water based 
ya gel base moisturizer lagana bilkul na bhule. 


App health, beauty ur lifestyle se Jude
 questions direct mere se Puch sakte hai.
 Mere ko Instagram pe follow Kar ke.

Answer given by:


Sonam
Beauty, health and lifestyle's blogger
Makeup artist
Lakme academy

Search Any topic , section , query