Aj kal makeup ki taraf badhta craze, makeup line mein career bana ne ka interest bhi badha raha hai ur market mein competition bhi. Par kya makeup artist Ka course Karna he yeh assure kar deta ki app ek ache makeup artist hai aur freelance ke liye tayar hai. Ek make up artist ko kya problems atti hai apna khud ka kaam start karne mein, aiyee jante hai.
Problems face by new freelance makeup artist:
Doesn't get work easily- new freelance makeup artist ko toh kaam milta he nahi hai ya bahut mushkil se kaam milta hai.
Doesn't know how to promote their self or get in the business- new freelance makeup artist ko pata he nahi hota ki wo apne ko kaise promote kare ur kaha kare dusra iss freelance ke business mein enter kaise kare.
Solutions for these major problems:
How to get work - sabse pehle jab aap make up artist ka course kar ke nikalte hai, toh app ke pass certificate toh hota hai ur thoda bahut practice but real life experiences nahi hota, toh apko koi client kaam kyu dega! Iske liye apko phele work experience lena jaruri hai means you need to work in some saloon ya kisi makeup brand ke saath kaam karne or assist any established makeup artist so that you get experience and get time to build your portfolio of your Work(pictures lena apne kaam ki) jisko app promote kar ke freelance kaam le sake.
How to promote your self and where- app apne ko promote karne ke liye apne kaam ki photos khich ke socail media ke various platforms pe share kar sakte hai, jaise Facebook, Instagram ya app apne kaam ki videos bana ke YouTube pe channel bana ke share kar sakte. Waise aj kal Instagram fashion ur makeup promote karne ka acha platform hai. Ur app quora jaise questions answers website pe answers post kar ke apne profile ke link bhi waha promote kar sakte.
App apne near and dear one se bhi keh sakte hai aap ke kaam ko promote karne ko, positive word of mouth is the biggest marketing of your work.
Agar yeh points app apne professional life mein apply toh apko bahut hadd tak kaam milne ki problems solve ho sakti hai.
App health, beauty ur lifestyle se Jude
questions direct mere se Puch sakte hai.
Mere ko Instagram pe message Kar ke.
Answer given by:
Sonam
Beauty, health and lifestyle's blogger
Makeup artist
Lakme academy
‘ Also hum ek service offer kr rhe hai
jisme aapki profile , work etc apni website me create krte hai jiski fees
700 rs hai . iss site me high traffic hai
jisse aap apne network me share kr sakte hai.
Dusri service me aapki profile ke baare mr kuch group me share krenge
jinmr 1lkh se jyada users hai.
jiski fees 300 rs hai.
aur aap apni location aur apni problem hume message karenge , to according hum aapko aur promote krne ke tareeke pr kaam kr sakte hai.
Aap hume apni koi bhi problem message(comment) kr bata sakte hai.. jaise business partner , team , anything. We might help you in sort out your problem.
दोस्तों Ynot App को जरूर डाउनलोड करें इसमें आपको बहुत ही छोटे छोटे आईडियाज जिन्हें आप आसानी से स्टार्ट कर सकते हैं और भी आईडिया आपको मिलेंगे
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.exam.exampractice&hl=en