Hum sab yahi chahte hai humari skin hamesha glow Karti rahe ur flawless Hun. Par yeh kaise achieve hota hai.
Aj hum Jane he kaise hum apni skin type pata kare ur phir uski USS Tarah Dekh bhaal kare.
Basically skin 3 types ki Hoti Hai. Kuch ek ya 2 factors ko ur consider kare toh 4 types ki hojati hai:
Oily skin.
Normal skin.
Dry skin.
Sensitive skin.
How to test what is your skin type:
Apko face wash Karna hai normal face wash se. Ab apko apna face saaf karne ke baad aise he chord dena hai. Us par Kuch nai laga na. Leave it ur skin for 30-45 minutes.
Iske baad:
Agar apki skin skin pe T zone ke Saath, sab jageh oil ata hai ur skin shiny hojati hai toh apki skin oily hai ya app ek tissue paper leke daba ke ya halka sa clean karoge toh apke tissue pe agar oil ata hai toh apki skin oily Hai.
Agar apki skin ke sirf T zone pe oil ata ur Baki skin, na dry na oily Hoti hai toh apki skin normal hai.
Agar apke T zone pe oil Nahi ata Ulta Pura face khicha khicha sa hojata hai after face wash toh apki dry skin hai.
Agar apki skin dry hone ke saath red bhi hojati hai, infect koi bhi skin care step karne se us pe irritation, acne ya rash padh jate hai toh apki skin dry and sensitive hai.
App health, beauty ur lifestyle se Jude
questions direct mere se Puch sakte hai.
Mere ko Instagram pe message Kar ke.
Answer given by:
Sonam
Beauty, health and lifestyle's blogger
Makeup artist
Lakme academy
Meri skin par winter mein apne aap papre jam jate hai or summer mein halke se rahe jate hai asa kyu hota hai
ReplyDeletekyuki apki skin dry hai, app winters mein raat mein ko heavy moisturizer bhi use kar sakte hai, ya olive oil ya alomond oil ya Vitamin-E capsule full cream milk ki malai ya desi ghee yeh sab mein ek chig jo apke pass hun, raat meinlaga ke soo sakte hai and subeh sirf pani ya bahut hale face wash se mouh doh ke koi heavy day moisturizer laga sakte hai, ur pure din mein1-3liter pani apko peena he peena hai.
ReplyDeletegramio mein app aloe vera gel ya loi light moisturizer use kar sakte hi..iske baadbhi apki problem aise he rehti hai toh skin doctor se consult kare. thank you